Sunday, September 16, 2012

Daud abhi baaki hai . .

Zindagi ajeeb hai
Maut ke kareeb hai
Waqt ka kuch andaaza nahi
Paya aisa naseeb hai
Rukti rukti chal padti hai
Maddham si chandni ye
Suraj ke aage bhilakti hai
Hawa ka jhonka aaye toh
Fir raftaar badti hai iski
Ruksaar aage paaye toh
Girna nahi, girke sambhalna hai
Aisa hai ye dawa iska
Chahe jitne teer faenko
Rukawat hai iska kissa
Jo jitna ruk jaaye
Utna hi khud ko kamzor paaye
Waqt ke hawale kuch bhi na aaye
Aashayein woh aisi lagaye
Ki behakta hua khud ki nazro me
Woh uth jaaye
Aur duniya ko ye kehke dikhlaaye
Ki chalta ja tu, aage bad, daud abhi baaki hai
Chalta ja tu, aage bad, daud abhi baaki hai
Sapne dekhe hai jo tune
Unka ehsaas abhi baaki hai
Dekh apne aas paas
Un janwaro ko khud pe odein
Rukte nahi woh duniya me kahi
Unki manzil kahi baaki hai
Tu bhi waisa ban ki karein arzoo puri apni
Tu bhi waisa ban ki karein arzoo puri apni
Jab tak dawa karta rahein
Tab tak manzil ka rukh kahi aur baaki hai
Daud abhi baaki hai..
Teri daud abhi baaki hai . . .

© Latika Sareen
Protected by Copyscape DMCA Copyright Protection

No comments:

Post a Comment