Wednesday, October 16, 2013

Ek Baar Phir . . .

Shaam ke hote, mera chup jana
Sansanati lehron par baethke
tera muskurana
Aahat ka woh behka sa pal
Ek baar phir roye hum, bina aaskhon ke

Aise waade hazaar the
Mere iraade kuch aur the
Aaina palat chuka tha
Raat thi, Doli ka waqt tera
Fir rula gaya humein, bina aaskhon ke

Pyaar ke izhaar me deri
Meri zindagi  se khwaaishey teri
Marte dum tak tadapna
Teri justajoo karna
Ek baar phir roye hum, bina aaskhon ke

Koshish us badal ke peeche ki
Baarish se taaruf karna
Toofan ka beech me shaamil hona
Fir rula gaya unhe, ek baar bina aaskhon ke.