Monday, December 4, 2023

Kehar

 Roz raat ko ek wahi baat yaad aati hai
Gham tha bhara bachpan me 
Ek wahi yaad rulati hai
Beete nai the din woh khilone se khush ho Kar wale
Jab hona tha sar par maa ka haath
Woh haath tha kisi aur ka
Soch wahi tham si jaati hai

Raatein thi woh kaali kuch chupi me band
Saha itna sab aankhon ko karke nam
Paas me tha parivar jisko thi Na khabar
Beti bik rahi thi
Waqt tha bahut kam.

Savere me savera ho aisi choti si aas thi
Dil ke paas tha andhera
Dimaag me bas marne ki pyaas thi
Kya karu, Kya bolu kisko
Dhundna pad raha tha woh shaks
Bachpan Kya khaak tha woh
Bas lutne ka ehsaas tha woh.
Baras beetein phir maa ne pucha
Kya aish ki meri beti ne mere peeche se bol
Chin si gayi thi boli Kya bole beti ye
Kamane nikle thi shohrat
Kho baethi thi beti ko woh.