Saturday, May 5, 2012

Aazaar-e-Mohabbat

Kissa hum likhenge dil-e-bekaraar ka
Khat mein sajake phool hum pyaar ka
Lafzon mein likh denge apna hale-dil
Dekhenge kya jawab ata hai dildaar ka.

Us raah me chalenge jahan intezaar ho tumhara, 
Dil ke lafzo ko de kar sahara, 
Phool to ek bahana hai humare kareeb aane ka,
Jab dil hi bik gya to ab kya jawab hoga humara. 

Kareeb ane ki arzoo ke liye bahane kaun chahta hai
Akhir Tere Khareedaar-diladaar to hum hi hai zamane mein
Aur intezaar mein nazar rahon pe arse se kuch yun tika kar baithe hain
Hai ehsaas ye aisa, mano ek puri umar 
guzar gayi tere fasane mein.
Ek puri umar guzar gayi tere fasane mein... 

© Latika Sareen
Protected by Copyscape Originality Checker

No comments:

Post a Comment