Tuesday, April 3, 2012

Ye nazakhat . . .

   

Is nazakhat se dekha humne unhe
   Ke wo sharma gaye,
Pyaar bhari nazron se dekha humne unhe,
Ke wo itraa gaye.

Khuli hawa me sapne dekha karte the,
Raet par sang sang chala karte the,
Palat kar dekha, to woh dikhe nahi,
Manzilon ki raah me sapne dekha karte the.

Wo kehte the,
ke woh reh lenge bina humare,
Fir bhi Pyaar ka izhaar kiya karte the,
Pal pal betaab rehte the dono,
Bina suney baatein jaan liya karte the.

Milne ka to aasra hi na tha,
Jab chahe bana kar pyaar kar liya karte the,
Dil to dhadakta tha sirf ek ke liye,
Samjha kar ye unhe mana liya karte the,

Chaha hai sirf unhi ko,
Vishvas ye unhe karwane lagte the,
Dil se dil ka nata purana tha,
Aankhon se ye seekhaya karte the,

Aaj bhi yahi lagta hai humein,
Ke wo laut aayenge wapis,
Mohabbat kya cheez hai,
Samjhna unhe padega,
Hum to bas nazron se taaruf kiya karte the . . 


Ye nazakhat, uff ye nazakhat unki . . . .


© Latika Sareen
Protected by Copyscape Originality Checker

No comments:

Post a Comment