Thursday, April 5, 2012

Itefaaq . . ( Azalee )

   Chale the hum raah banane , 
   Ruke to has diye,
rakhni thi yaadein sirhaane,
leke dukh chal diye

Kabhi kabhi itefaq se mile,
jannat se bhi mulaakatein hui,
Samundar par baethe the rishte banane,
Dilbar se aisi baatein hui


Tham gaye kadam sunke aarzoo tumhari,
Waqt tha kam,
Mannatein thi adhuri,
Socha kar lenge tamanna puri,
 mulaakatein na fir hui zaruri

Ek raah thi, do chah thi,
soch soch tha dil ghabraya,
sarhad paar bhi tha ajnabi
intezaar karta dar pe aaya


Haan kar sang hum chal diye uske,
kitno ke the dil toote
sapne to sajake dekhe the
itefaaq se mil liye


Baethe chuppi rahi zuban pe
Bolkar bhi na bolein,
Ishaare karein nazron se kuch
Tab bhi dil na kholein,


Chalte chalte raah bhi bani,
sapne bhi hue pure,
Han kar sang hum chal diye uske,
Tab bhi dil na kholein,.


Sarhad paar . . . Intezaar raha
   
© Latika Sareen
Protected by Copyscape Originality Checker

2 comments:

  1. ye hindi/urdu shayari kab shuru hui??? 1 ke baad 1..lagey raho..kahin kisi se ishq-visghq toh nahi ho gaya? :P

    ReplyDelete
  2. Ha ha no no..
    ye to likhne ke andaaz hain. . a writer's mind is creative afterall!!

    ReplyDelete