Friday, March 1, 2013

Ja-ne-Jahan

Tere bina rehne ka andaaz aa gaya hai
Jee kar bhi na jeena raas aa gaya hai 

Shaano-shaukhat sab darbaar pe hai
Bas dilbar se bichadne ka makaam aa gaya hai

Ruk gaya hu main idhar udhar jaate
Bhatakte, apne hi chaukhat pe girte giraate
Kashtiyon ka adhura kinara aa gaya hai

Dene the jinhe ashk ki saza
Woh hi insaan benaqab aa gaya hai

Kabhi na socha the humne, "Aashiq" us ke liye
Diye jo udhaar aab-deedah unhone
Jawab ab dene ka waqt aa gaya hai. . .

© Latika Sareen

No comments:

Post a Comment