Sab baatein kahi nai jaati
Jaise woh gam jo saalo se mere andar pal raha
Zehan me zinda hai par labo pe nami
Jaise ruke hue aansu in aankhon me
Jo gaalo se mudkar hain
Jaise woh udaasi bhari raat
Ya fir raatein
Jo bhulayi nahi jaati
Ya phir woh akelapan
Jo apno Ke beech ka hai
Bas rehta hi hai Na jaane kyu har pehr
Ye sab baatein boli nahi ja sakti
Kyuki raat toh bas chadi hai ae dost
Ye guzre hue pal ka sannata toh abhi baaki hai
Thoda is raat chalega
Thoda us raat
Bahega ye dil jo sabse kuch nai kehta
Aaj ek ehsan aur karegi ye raat mujhpe
Rahegi chup jab sawera puchega
Ki ye takiye aaj phir gile kyu hain?
No comments:
Post a Comment