Muddat ke baad tumhe jana hai
Khamoshiyan sataati hai ab
Guftagoon karein zehan se kuch
Khilkhilaat teri rulaati hai ab
Shikwa hai tumse
Ye ki tumne hume abroo na rakha
Waqt ka khel humne tarasha
Tumne bhi honsla na rakha
Haste rahe bechaineyaan leke
Ye sochke ke nayi manzil aayegi
Kya pata kisi daur pe humein
Zindagi naye aashiq se milwaayegi
Aawara dil ne ye bhi maana
Ke ye to ek riwaaz hai
Chahne ki tamanna hai ek khwaish khud me
Tumko lekar ishq ek raaz hai
Ruswa bhi hui
Manaya bhi nahi, jaane kis shiddat se chaha tumhein
Shabnam ka aansuon par kaliyon ka muskurana
Apni khushi se aana, apni khushi se jana
Rote hue phool sa tera aashiyana
Gale lag ke jaise taaron sa jhil milana
Mud ke dekho, dagmaga na jaaye
Marke kabr se tera, mere liye wapas aana
Behti nadi jaise hum kabhi na kabhi toh milenge
Shayad woh pal abhi haseen ho
Rooh jaisi sargam, lehraati ho tan pe jaise
Mujhse zyada tera aashiyana rangeen ho . . .
© Latika Sareen

No comments:
Post a Comment