Maa tu baethi thi sehlab si
Man ke andar chupi ardaas si
Dekh ke tujhe, dil kare pyar karu
Roothu tujhse hi, tujhse hi laad karu.
Na jaa ma, akela kar ke mujhe
Meri daastan adhuri hai tere bina
Koi nahi tere jaisa deewana
Khoraak ka nahi, Sang hai tere mujhe jeena
Haathon ko tere, tarse mere haath
Rakh de un haathon pe apne tu haath
Maar mujhe, kos mujhe
Chod na de, itni asaani se saath
Jeeke bhi main zinda nahi rahungi
Waada kar mujhse, pyar utna hi rahega
Jane se tere, ummedein guzar jayengi
Bin tere mera khyal kaun rakhega
Tujhe sulaao, tujhe sehlaau
Sochti hu roz karke dikhau
Ki tu man badal le jaane ka ab
Bina tere kaise main jee paau
Yaad aayenge wo keemti pal
Jo guzaare itne saal sath rehke
Lori sunana tera, roti khilana tera
Gungunana dhuno ko, aise jaise
bageeche me phool meke
Bas bhi karo, kitna rulaaogi
Jaane se pehle kaise samjhaogi
Ki zindagi ka to yahi daur hai
Aj tha koi, kal koi aur hai.
Copyright © Latikaa Sareen